Translation

http://about.me/Pharista

Friday, June 11, 2010

murli points in hindi

Baap apne brahman bachcho ko warning dete hai ki baap se kabhi ruthna nahi, agar baap se ruthenge to sadgati se bhi ruth jaayenge. Ruthne vaalo ko badi kadi sazaa milegi.

Tunhara dukh ka part khatam hokar ab sukh ka part shuru hota hai, jo puri reeti nahi jaanate vah kisi na kisi baat me dukh jaroor dekhte hai. Yaha baba ke paas aane se bhi kuchh na kuchh dukh bhasega. (feel hoga).

Duniya ke crore patiyo ko thodehi pata hai ki yaha bhagvaan aaya huva hai, varna jat se chhod kar aa jaye.

Bahut hai jo kisi na kisi sanshay (doubt) me aakar baba se ruthkar baba ko chhod dete hai. Brahmani se ruth jaate ya aapas me ruthkar padhaai chhod dete hai.

Koi ko kuchh sanshay hai, falana yah karte hai, yah aise kar rahe hai, isliye ham nahi aayenge. Bas ruthkar ghar me baith jaate hai.

Yaha ka bhi sakshatkar hoga ki tumne aapas me ladkar, ruthkar padhaai chhod di thi.

Kai bacche sanshay karte hai ki yaha bhagvaan padhaate hai feer bhi itne kam kyun aate hai? Baba kehte hai - yaha to padhaai ki baat hai, vaha bhakti me kanras hai. Yaha to marna hota hai. Yaha kanras ki baat nahi.

Yaha koi apmaan nahi karta hai, agar kuchh baat hai to baap ko report karni chahiye, report nahi karte to bada paap lagta hai. Baap ko sunane se turant unko saavdhani milegi. Is surgeon se chhipana nahi hai. Bada bhaari surgeon hai.

Baap kehte hai agar pavitra nahi banenge to dhaarna bhi nahi hogi. Vikaar to mahapaap hai.

Brahmabaap samaan athak (tireless) banane ke liye koi kada niyam banaao. Drudh sankalp karo, attention rupi chaukidaar sada alert rahe to albelapan samapt ho jaayega. Pehle swa kw upar mehnat karo feer seva me, tab dharti parivartan ho jaayegi. "kar lenge, ho jaayega" iss aaram ke sankalpo ke Dunlop (a company brand which manufactures beds with cushion) ko chhodo. Karna hai yah slogan mastak (head) me yaad rakho to parivartan ho jaayega.

No comments:

Post a Comment